ji har kisi ko kabhi khud se-
kabhi apne chaahne valon se,
koi na koi shikaayat to rahti hi hai,
aakhir koi ped, parwat,
nadiya,
naalon,
puliya,
in sab se kahan koi ranzish karta hai..
ham umra bhar jinse ladte rahte-
vo chehra,
aakhen,
chuwan,
puliyaa par shaam ke dhundhalke me milaa karte the.
ladai-
khaa jaati hai hamari urja,
daane daane ko tarsh jate ham,
magar akad fir bhi rahti jaari...
kabhi apne chaahne valon se,
koi na koi shikaayat to rahti hi hai,
aakhir koi ped, parwat,
nadiya,
naalon,
puliya,
in sab se kahan koi ranzish karta hai..
ham umra bhar jinse ladte rahte-
vo chehra,
aakhen,
chuwan,
puliyaa par shaam ke dhundhalke me milaa karte the.
ladai-
khaa jaati hai hamari urja,
daane daane ko tarsh jate ham,
magar akad fir bhi rahti jaari...
No comments:
Post a Comment